Nazim Naqvi

shahr meri majburi ganw meri aadat hai

Nazim Naqvi

shahr merī majbūrī gaañv merī aadat hai
ek sāneha mujh par ik mirī virāsat hai
ye bhī ik karishma hai bīsvīñ sadī terā
maut ke shikanje meñ zindagī salāmat hai
phir 'anīs' mimber par marsiya paḌheñ aa kar
karbalā ye duniyā hai har ghaḌī shahādat hai
jaise chāhe jī liije pheñkiye yā pī liije
zindagī to har ghar meñ chaar din kī mohlat hai
vaqt ke badalne se dil kahāñ badalte haiñ
aap se mohabbat thī aap se mohabbat hai
muskurā ke khul jaanā khul ke phir bikhar jaanā
in dinoñ to phūloñ meñ aap sī sharārat hai
ek sadā ye aatī hai merī ḳhvāb-gāhoñ meñ
dil ko chain aa jaanā dard kī alāmat hai
tū gayā namāzoñ meñ maiñ gayā javāzoñ meñ
vo tirī ibādat thī ye mirī ibādat hai
merī raa.e pūchho to ye burī-bhalī duniyā
aap jitne achchhe haiñ utnī ḳhūb-sūrat hai
Top Urdushayar.com