kuchh nahīñ hai magar hai ye duniyā
apnī apnī nazar hai ye duniyā
apne markaz pe raqs kartī huī
ik musalsal safar hai ye duniyā
ek parinde kī zad meñ aa.ī huī
ik parinde kā ghar hai ye duniyā
maiñ jidhar huuñ udhar to bas maiñ huuñ
tū jidhar hai udhar hai ye duniyā
is tarah sub.h ko lagātī hai
jaise taaza ḳhabar hai ye duniyā