Govind Gulshan

shaKHsiyat usne chamak-dar bana rakkhi hai

Govind Gulshan

shaḳhsiyat us ne chamak-dār banā rakkhī hai
zehniyat kyā kaheñ bīmār banā rakkhī hai
is qadar bhiiḌ ki dushvār hai chalnā sab kā
aur ik vo hai ki raftār banā rakkhī hai
ek mushkil ho to āsān banā lī jaa.e
us ne to zindagī dushvār banā rakkhī hai
paas aa jaatā hai maiñ duur chalā jā.ūñ to
us ne duurī bhī lagātār banā rakkhī hai
zehn aur dil meñ jo an-ban hai vo an-ban na rahe
is liye darmiyāñ dīvār banā rakkhī hai
shaḳhs kaisā hai vo kyā hai nahīñ ma.alūm hameñ
shahr meñ us ne magar dhaar banā rakkhī hai
Top Urdushayar.com