Govind Gulshan

ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai

Govind Gulshan

ulfat kā dard-e-ġham kā parastār kaun hai
duniyā meñ āñsuoñ kā talabgār kaun hai
ḳhushiyāñ chalā huuñ bāñTne aañsū sameT kar
uljhan hai mere sāmne haqdār kaun hai
zid par aḌe hue haiñ ye dil bhī dimāġh bhī
ab dekhnā hai in meñ asar-dār kaun hai
pahle talāsh kījiye manzil kī rahguzar
phir sochiye ki raah meñ dīvār kaun hai
kānoñ ko chhū ke guzrī hai koī sadā abhī
ye kaun aah bhartā hai bīmār kaun hai
is paar maiñ huuñ aur ye TuuTī huī sī naav
āvāz de rahā hai jo us paar kaun hai
Top Urdushayar.com