sambhal ke rahiyegā ġhusse meñ chal rahī hai havā
mizāj garm hai mausam badal rahī hai havā
vo jaam barf se labrez hai magar us se
lipaT lipaT ke musalsal pighal rahī hai havā
idhar to dhuup hai bandish meñ aur chhatoñ pe udhar
libās barf kā pahne Tahal rahī hai havā
bujhā rahī hai charāġhoñ ko vaqt se pahle
na jaane kis ke ishāroñ pe chal rahī hai havā
jo dil pe haath rakhoge to jaan jāoge
machal rahī hai barābar machal rahī hai havā
maiñ kah rahā huuñ havā hai to jal rahe haiñ charāġh
vo kah rahe haiñ charāġhoñ se jal rahī hai havā