muntazir āñkheñ haiñ merī shaam se
sham.a raushan hai tumhāre naam se
chhīn letā hai sukūñ shohrat kā shauq
is liye ham rah ga.e gumnām se
sach kī ḳhātir jaan jaatī hai to jaa.e
ham nahīñ Darte kisī anjām se
apne man kī baat ab kis se kahūñ
aa.ina nārāz hai kal shaam se
kyā ajab duniyā hai ye duniyā yahāñ
log milte haiñ magar bas kaam se
aisā kuchh ho jaa.e dil TuuTe nahīñ
sochiyegā aap bhī ārām se
mujh se pūchho āñsuoñ kī barkateñ
mutma.in huuñ ranj-o-ġham ālām se