aap jab chehra badal kar aa ga.e
sach to ye hai ham bhī dhoka khā ga.e
aap ab aa.e haiñ fasl-e-gul ke ba.ad
phuul jab ummīd ke murjhā ga.e
ashk kyā chhalke hamārī aañkh se
lafz bhī āvāz meñ bal khā ga.e
ham tumhāre aa.ine meñ qaid the
tum to bas bekār meñ ghabrā ga.e
toḌ laa.e shīsha-e-dil phir kahīñ
tum añdhere meñ kahāñ Takrā ga.e
aap ne ġham hī diye bas ġham hameñ
aap kab ḳhushiyāñ yahāñ barsā ga.e