mustaqil ab bujhā bujhā sā hai
āḳhir is dil ko ye huā kyā hai
tum ko chāhā baḌā qusūr kiyā
tum hī batlā do ki ab sazā kyā hai
maañg luuñ un kā dil agar vo kaheñ
qatl kā tere ḳhūñ-bahā kyā hai
kyuuñ nafas meñ kabāb kī bū hai
mere siine meñ ye jalā kyā hai
mohr hai sabt qalb-e-vā.iz par
daaġh māthe pe bad-numā kyā hai
hazrat-e-dil haiñ kyuuñ udaas udaas
nā-ummīdī ne kuchh kahā kyā hai
kaafī ik lafz hai huzūr-e-ḳhudā
ye shab-o-roz iltijā kiyā hai
vahī māñgo ki ho duā maqbūl
yaanī allāh chāhtā kyā hai
dekhiye ye kalām-e-mehdī meñ
fikr insāñ kī intihā kyā hai
maiñ ne āñkhoñ se ashk poñchhe the
rañg dāman pe laal sā kyā hai
zaat 'mehdī' kī phir ġhanīmat hai
gar vo achchhā nahīñ burā kyā hai