kaif-e-surūr-o-soz ke qābil nahīñ rahā
ye aur dil hai ab vo mirā dil nahīñ rahā
siine meñ maujzan nahīñ tūfān-e-ārzū
Takrā.e kis se mauj ki sāhil nahīñ rahā
jo kuchh matā-e-dil thī vo sab ḳhatm ho ga.ī
ab kārobār-e-shauq ke qābil nahīñ rahā
bazm-e-tarab bisāt-e-masarrat fareb haiñ
maiñ aish-e-musta.ār kā qaa.el nahīñ rahā
kam-mā.egī ne dil tujhe be-qadr kar diyā
duzd-e-nigāh-e-nāz ke qābil nahīñ rahā
jins-e-vafā kā dahr meñ bāzār gir gayā
jab ishq faiz-e-husn kā hāmil nahīñ rahā
aalā bhī hote haiñ kabhī asfal se bahra-var
gul kyā khileñ agar karam-e-gil nahīñ rahā