S A Mehdi

bante hi shahr ka ye dekhiye viran hona

S A Mehdi

bante hī shahr kā ye dekhiye vīrāñ honā
aañkh khulte hī mirā dahr meñ giryāñ honā
dil kī mere jo koī shomi-e-qismat dekhe
bāvar aa jaa.e gulistāñ kā bayābāñ honā
chashm-o-abrū ke liye ashk haiñ sāz-o-naġhma
merā girya mirī āñkhoñ kā ġhazal-ḳhvāñ honā
zaḳhm haiñ lāla-o-gul partav-e-sehn-e-gulshan
dekhiye dil kā mire rashk-e-gulistāñ honā
dasht-e-paimā.ī se be-zār tamannā.eñ haiñ
baar hai un ko mire qalb kā mehmāñ honā
in meñ kyā farq hai ab is kā bhī ehsās nahīñ
dard aur dil kā zarā dekhiye yaksāñ honā
ab nazar aate ho masjid meñ jabāb-e-'mehdī'
sheb meñ tum ko mubārak ho musalmāñ honā
Top Urdushayar.com