kaise karūñ maiñ zabt-e-rāz tū hī mujhe batā ki yuuñ
ai dil-e-zār sharah-e-rāz mujh se bhī tū chhupā ki yuuñ
kaise chhupā.ūñ soz-e-dil tū hī mujhe batā ki yuuñ
sham.a bujhā dī yaar ne jaise thā mudda.ā ki yuuñ
ek shikast-e-zāhirī fat.h bane to kis tarah
ā.īna-dār ban gayā qissa-e-karbalā ki yuuñ
soch rahā thā ġham-nasīb bigḌī bane to kis tarah
rahmat-o-lutf-e-kirdgār ban ga.e aasrā ki yuuñ
ye jo kahā ki pās-e-ishq husn ko kuchh to chāhiye
dast-e-karam ba-dosh-e-ġhair yaar ne rakh diyā ki yuuñ
pūchhā ḳhitāb yaar se kis tarah kījiye shām-e-vasl
chupke se andalīb ne phuul se kuchh kahā ki yuuñ
lutf-e-jafā-e-dost kā kaise adā ho shukriya
lazzat-e-sorish-e-jigar dene lagī duā ki yuuñ
ham-nafas-o-habīb-e-ḳhās bante haiñ ġhair kis tarah
bolī ye sard-mehrī-e-umr-e-gurez-pā ki yuuñ
donoñ hoñ kaise ek jā 'mehdī' surūr-o-soz-e-dil
barq-e-nigāh-e-nāz ne gir ke batā diyā ki yuuñ