Zaheer Kashmiri

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
farz barsoñ kī ibādat kā adā ho jaise
but ko yuuñ puuj rahe haiñ ki ḳhudā ho jaise
ek pur-pech ġhinā ek harīrī naġhma
haa.e vo husn ki jañgal kī sadā ho jaise
ishq yuuñ vādi-e-hijrāñ meñ huā mahv-e-ḳhirām
ḳhārzāroñ meñ koī ābla-pā ho jaise
ārizoñ par vo tire tābish-e-paimān-e-vafā
chāñdnī raat ke chehre pe hayā ho jaise
is tarah daaġh damakte haiñ dil-e-vahshī par
qais ke jism pe phūloñ kī abā ho jaise
kitnā dilkash hai tirī yaad kā paalā huā ashk
sīna-e-ḳhāk pe mahtāb girā ho jaise
ratjage vo bhī nashāt-e-ġham-e-mahbūb ke saath
husn vāloñ ne baḌā kaam kiyā ho jaise
hijr kī raat ajab rañg hai paimāne kā
dast mai-ḳhvār meñ bujhtā sā diyā ho jaise
ḳhāk-e-dil par tire sayyāl tasavvur kā ḳhirām
reg-e-sahrā pe ravāñ bād-e-sabā ho jaise
aaj us shoḳh kī chitvan kā ye aalam hai 'zahīr'
husn apnī hī adāoñ se ḳhafā ho jaise
Top Urdushayar.com