Zaheer Kashmiri

ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
ahl-e-dil milte nahīñ ahl-e-nazar milte nahīñ
zulmat-e-daurāñ meñ ḳhurshīd-e-sahr milte nahīñ
manziloñ kī justujū kā tazkira be-sūd hai
DhūñDne niklo to ab apne hī ghar milte nahīñ
aadmī TukḌoñ kī sūrat meñ huā hai muntashir
vahdat-e-fikr-o-nazar vaale bashar milte nahīñ
rāste raushan haiñ āsār-e-safar ma.adūm haiñ
bastiyāñ maujūd haiñ dīvār-o-dar milte nahīñ
zauq-e-nazzāra diloñ meñ dafn ho kar rah gayā
aañkh vāloñ meñ bhī ab ahl-e-nazar milte nahīñ
baḌh ga.e haiñ is qadar qalb o nazar ke fāsle
saath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahīñ
zehn kī chaTyal zamīñ se aañch aatī hai 'zahīr'
ab yahāñ ehsās ke rañgīñ shajar milte nahīñ
Top Urdushayar.com