kis ko milī taskīn-e-sāhil kis ne sar mañjdhār kiyā
us tūfān se guzre jis ne nadī nadī ko paar kiyā
ai farzāno! dīvānoñ ke jazba-e-dil kī qadr karo
un kī ek nazar ne ātish ātish ko gulzār kiyā
rañj-e-mohabbat rañj-e-zamāna donoñ ham se ḳhā.if haiñ
ham ne soch samajh kar dil ko sargarm-e-paikār kiyā
sahrā sahrā ham ne nok-e-ḳhār se talve sahlā.e
mahfil mahfil ham ne apnī vahshat kā iqrār kiyā
un se kah do sāmne aa kar apne jalve aam kareñ
ḳhalvat-e-nāz meñ chhup na sakeñge ham ne agar isrār kiyā
ham ne apne ishq kī ḳhātir zanjīreñ bhī dekhīñ haiñ
ham ne un ke husn kī ḳhātir raqs bhī zer-e-dār kiyā
bastī bastī aaj hamārī sa.ī-e-vafā kī shohrat hai
ham ne 'zahīr' ik aalam ko pāband-e-nigāh-e-yār kiyā