Asad Raza Sahar

hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain

Asad Raza Sahar

Jhang, Punjab, Pakistan

1986
ham to karbal ko hī bas dār-e-baqā kahte haiñ
us kī miTTī ko suno ḳhāk-e-shifā kahte haiñ
ye to bas mujh se hī ho jaatī hai ġhaflat aksar
jo bhī kahte haiñ baḌe mere bajā kahte haiñ
pheñkī lakḌī to kabhī rasta kabhī saañp banā
us ko lakḌī nahīñ muusā kā asā kahte haiñ
maiñ sazā lafz kī tārīf batātā huuñ suno
muntazir hone ko bhī jaan sazā kahte haiñ
bhuuk marte hue bachchoñ ko jo khānā lā de
us masīhā ko hī farzand-e-ḳhudā kahte haiñ
kitne saada haiñ makīñ yaar tirī bastī ke
zahr ke jaam ko bhī āb-e-baqā kahte haiñ
shams tabrez se apnī hai aqīdat itnī
ham qalandar ko tabhī shams-numā kahte haiñ
jo tirī yaad meñ har raat bapā hotī hai
aisī mahfil ko 'sahar' bazm-e-azā kahte haiñ
Top Urdushayar.com