Asad Raza Sahar

aaj maqtal ko sajaya ja raha hai

Asad Raza Sahar

Jhang, Punjab, Pakistan

1986
aaj maqtal ko sajāyā jā rahā hai
ḳhūn-e-nāhaq bhī bahāyā jā rahā hai
raqs karne ke liye kuchh laḌkiyoñ ko
baarī baarī hī bulāyā jā rahā hai
jis ne kalima paḌh liyā thā āḳhirī dam
is kā lāsha kyuuñ jalāyā jā rahā hai
us ke lahje meñ ra.ūnat to nahīñ hai
us ko nazroñ se girāyā jā rahā hai
ghar to ḳhālī hai guzishta ek maah se
mere hāthoñ se karāyā jā rahā hai
mann-o-salvā se bahut aage hai ye
karbalā lañgar jo khāyā jā rahā hai
do haiñ shā.ir sirf cigarette ek hai
baarī baarī kash lagā yā jā rahā hai
aap kā mujh se jo rishta hai use
kitnī diqqat se nibhāyā jā rahā hai
Top Urdushayar.com