kī jaa.e chhup ke aisī yahāñ ġhā.ebāna baat
sarhad ke paar pahuñche na ye kāfirāna baat
mahfil yahāñ sajī hai magar tū nahīñ yahāñ
terī bhī kaash hotī koī mo.ajizāna baat
us ko koī shaġhaf hī kahāñ shā.irī se hai
mahfil meñ kaise karte rahe shā.irāna baat
dekho to ek aam sā kam-fahm sā vo hai
dohrā rahā hai aaj bhī us kī zamāna baat
hāsil to kuchh na hogā tumheñ mār-pīT se
karte haiñ saare mil ke koī dostāna baat
aksar maiñ tujh se baat yahī kahtā huuñ 'sahar'
ġhusse ko chhoḌ kar koī ab ājizāna baat