Asad Raza Sahar

nim pagal to main hun tum mujhe sara kar do

Asad Raza Sahar

Jhang, Punjab, Pakistan

1986
niim pāgal to maiñ huuñ tum mujhe saarā kar do
aañkh biphrā huā dariyā hai kinārā kar do
ik za.īfa hai ghanā dasht hai ik jhoñpaḌī hai
ek beTe hī ko buḌhiyā kā sahārā kar do
koī tabdīlī na aa.e agar atvār meñ to
saare bachchoñ ko nasīhat hī dobāra kar do
chāñd har haal meñ sargoshī karegā tujh se
chhat se tum us ko agar ek ishāra kar do
maiñ ne tāvīz-e-mohabbat bhī liye dam bhī kiyā
kaash koī to mirī aañkh kā taarā kar do
maiñ ne bhī tāj-mahal ek banā rakkhā hai
aa ke ik baar 'sahar' aap nazāra kar do
Top Urdushayar.com