Asad Raza Sahar

aaj mujhko bhi mere ahbab dhoka de gae

Asad Raza Sahar

Jhang, Punjab, Pakistan

1986
aaj mujh ko bhī mire ahbāb dhoka de ga.e
maiñ tavānā shaḳhs thā a.asāb dhoka de ga.e
gaañv kī kuchh laḌkiyāñ apne ghaḌe bharne ga.iiñ
ḳhushk thā paanī vahāñ tālāb dhoka de ga.e
jo nazar aate the aksar un jabīnoñ par tujhe
kyā kareñ māthe ke vo mehrāb dhoka de ga.e
apne hāthoñ se khilātā thā magar vo uḌ ga.e
aaj mujh ko vo mire surḳhāb dhoka de ga.e
maiñ muāfī chāhtā huuñ mujh se ġhalatī ho ga.ī
kuchh bhī mushkil thā nahīñ eraab dhoka de ga.e
aaj se maiñ hijr kāTūñgā tasallī se 'sahar'
jo kabhī dekhe the maiñ ne ḳhvāb dhoka de ga.e
Top Urdushayar.com