Zaheer Kashmiri

wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
vo aksar bātoñ bātoñ meñ aġhyār se pūchhā karte haiñ
ye sar-ba-girebāñ dīvāne kis shai kā taqāzā karte haiñ
ik din thā ki sāhil par baiThe tūfāñ pe tabassum karte the
ab māyūsī ke aalam meñ sāhil kā tamāshā karte haiñ
ḳhatra hai vafā ke luTne kā majbūri-e-dil bhī lāzim hai
jiine kī tamannā karte haiñ marne kā taqāzā karte haiñ
ma.asūm sitamgar kī bāteñ mazlūm adā ke afsāne
yuuñ raat basar ho jaatī hai yuuñ dil kā mudāvā karte haiñ
jab nādānī kā aalam thā hāsil kī tamannā karte the
ab dil meñ aag lagāte haiñ sho.aloñ kā tamāshā karte haiñ
apne meñ rahe to rusvā.ī apne se ga.e to saudā.ī
ham muddat se dīvāngi-e-duniyā kā tamāshā karte haiñ
Top Urdushayar.com