ham to samjhe the mohabbat kī laḌā.ī sāhab
aap talvār uThā laa.e haiñ bhaa.ī sāhab
dhuup tālāb kā huliya to badal saktī hai
itnī āsānī se chhuTtī nahīñ kaa.ī sāhab
ḳhaak ko ḳhaak pe dharne kā maza apnā hai
hijr meñ kaun bichhātā hai chatā.ī sāhab
phir bhī āvārgī zaa.e.a nahīñ jaane vaalī
koī bhī chiiz agar haath na aa.ī sāhab