koī bhī shaḳhs jo vahm-o-gumāñ kī zad meñ rahā
vo tā-hayāt azāb-e-qubūl-o-rad meñ rahā
ḳhudā kī zaat meñ zam ho gayā jahāñ darvesh
vahāñ na farq koī kāre-nek-o-bad meñ rahā
vo mohtaram hai jo tasḳhīr-e-zāt kī ḳhātir
tamām umr laḌā aur apnī had meñ rahā
mire hī dam se kahānī meñ ma.anaviyyat thī
mirā shumār magar harf-e-mustarad meñ rahā
vo har lihāz se nā-mo'tabar ikaa.ī thā
magar vaqār se maujūd har adad meñ rahā
ajal ne ziist ke sab mas.ale sameT liye
baḌe sukūn se vo gosha-e-lahad meñ rahā
vo maiñ nahīñ thā koī aur shaḳhs thā ai 'soz'
jo merā jism liye mere ḳhāl-o-ḳhad meñ rahā