Hira Nand Soz

jise milen wahi tanha dikhai deta hai

Hira Nand Soz

Mianwali, Punjab, Pakistan

1922
jise mileñ vahī tanhā dikhā.ī detā hai
hisār-e-zāt meñ simTā dikhā.ī detā hai
kisī ke sar pe koī sā.ebāñ nahīñ har shaḳhs
ḳhud apnī chhāñv meñ baiThā dikhā.ī detā hai
vo daur-e-tesha-girī hai ki aadmī kā vajūd
har ek samt se TuuTā dikhā.ī detā hai
sazā-e-dār abhī tak hai ahl-e-haq ke liye
abhī salīb pe iisā dikhā.ī detā hai
dhuāñ dhuāñ hai fazā ātish-e-ta.assub se
nagar nagar mujhe jaltā dikhā.ī detā hai
ye kaifiyat hai junūñ kī yā dil kī vīrānī
ki apnā ghar mujhe sahrā dikhā.ī detā hai
bhaTak rahī hai kisī karbalā meñ 'soz' kī ruuh
kuchh is tarah se vo pyāsā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com