Hira Nand Soz

pahle to KHwab zehn mein tashkil ho gaya

Hira Nand Soz

Mianwali, Punjab, Pakistan

1922
pahle to ḳhvāb zehn meñ tashkīl ho gayā
phir sail-e-vaqt meñ kahīñ tahlīl ho gayā
be-nūr rāstoñ meñ jo bhaTke hue the log
jugnū bhī un ke vāste qindīl ho gayā
kañkar malāmatoñ ke girātā hai misl-e-sañg
mujh meñ koī parind abābīl ho gayā
vaqt-e-tulūa aayā gahan āftāb par
din chaḌh rahā thā raat meñ tabdīl ho gayā
thā jis ġhanī ke paas ḳhazīna-e-ilm-o-fan
vo ahd-e-nau ke haath meñ zambīl ho gayā
apne gharoñ ke kar diye āñgan lahū lahū
har shaḳhs mere shahr kā qābīl ho gayā
lauh-e-jabīñ pe vaqt ne vo harf likh diye
chehra ġham-e-hayāt kī tafsīl ho gayā
sad shukr 'soz' mere ḳhayālāt ke liye
merā qalam vasīla-e-tarsīl ho gayā
Top Urdushayar.com