vahī hādsoñ ke qisse vahī maut kī kahānī
abhī dastaras se bāhar hai shu.ūr-e-zindagānī
jo miTā ke apnī hastī banā ġham-gusār-e-sahrā
use raas kaise aatī tire dar kī pāsbānī
vahī shaḳhs lā-ubālī huā munkir-e-haqīqat
jise chilmanoñ kī sāzish se milī thī bad-gumānī
na ġhubār-e-kārvāñ hai na nishān-e-rāh-e-manzil
koī aks-e-māvarā kī kare kaise tarjumānī
jo fazā-e-bahr-o-bar ko kare aur bhī munavvar
karo ai 'vafā' musaḳhḳhar vo shuā-e-āsmānī