mumkin nahīñ hai apne ko rusvā vafā kare
duniyā-e-be-sabāt kī ḳhātir duā kare
nūr-e-vajūd aur agar hausla kare
sham-e-hayāt jal ke bhī kuchh lau diyā kare
mar mar ke koī kab talak āḳhir jiyā kare
kyuuñ har nafas se ziist ke ta.ane sunā kare
jab koshish-e-tamām bhī rah jaa.e nā-tamām
ai hāsil-e-hayāt batā koī kyā kare
jo ġham nasīb-e-yār ho ḳhud apnī ziist par
kab tak nigāh-e-nāz kā vo aasrā kare
hai ālam-e-vajūd pe chhāyā huā jumūd
ai kaash inqalāb koī faisla kare
ab aarzū yahī hai dam-e-naza.a ai 'vafā'
ġhair-az-ḳhudā na yaad rahe kuchh ḳhudā kare