sitam ahl-e-karam farmā rahe haiñ
vafāoñ ko pasīne aa rahe haiñ
uThā.e haiñ jo patthar māriyegā
tavaqquf aap kyuuñ farmā rahe haiñ
ġhazal ko ḳhūn-e-dil se aab de kar
ma.ānī ham na.e pahnā rahe haiñ
mujhe merī javānī ke taqāze
tamannāoñ se kyuuñ uljhā rahe haiñ
sar-e-mahfil ġhazal jo nā-ravā thī
use tanhā.ī meñ ḳhud gā rahe haiñ
na 'anjum' dāstān-e-dil sunāo
vo dekho log uTh kar jā rahe haiñ