chand tinke the jo 'anjum' āshiyāne ke liye
barq un ko bhī chalī aa.ī jalāne ke liye
ārzūeñ hasrateñ va.ada o paimān-e-vafā
surḳhiyāñ kitnī milī haiñ ik fasāne ke liye
umr-bhar rote rahe ashkoñ se dāman tar rahā
umr-bhar tarsā kiye ham muskurāne ke liye
kuchh to karnā hī paḌegā ai hayāt-e-musta.ār
kārobār-e-zindagī 'anjum' chalāne ke liye
sher-goī kī mayassar hai farāġhat ab kise
dām-e-duniyā meñ phañse ham āb-o-dāne ke liye