bahāroñ meñ tilism-e-gul-ruḳhāñ kā zikr karne do
shamīm-e-kākul-e-ambar-fishāñ kā zikr karne do
vo jis se duur ho jaa.e ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ
usī daur-e-sharāb-e-arġhavāñ kā zikr karne do
buḌhāpā duur hai zohd-o-vara.a jis kā taqāzā hai
javānī meñ to kuchh ishq-e-butāñ kā zikr karne do
ye sho.ale kis ne barsā.e ye ātish kis ne bhaḌkā.ī
zamīñ pe rahne vaalo āsmāñ kā zikr karne do
tabāhī tak to aa pahuñche ba-faiz-e-maġhfirat vaa.iz
ḳhudārā ab to mīr-e-kārvāñ kā zikr karne do