Zaheer Kashmiri

firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
firāq-e-yār ke lamhe guzar hī jā.eñge
chaḌhe hue haiñ jo dariyā utar hī jā.eñge
tamām raat dar-e-mai-kadā pe kaaTī hai
sahar qarīb hai ab apne ghar hī jā.eñge
tū mere hāl-e-pareshāñ kā kuchh ḳhayāl na kar
jo zaḳhm tū ne lagā.e haiñ bhar hī jā.eñge
miyān-dār-o-shabistān-e-yār baiThe haiñ
jidhar ishāra-e-dil ho udhar hī jā.eñge
julūs-e-nāz kabhī to idhar se guzregā
kabhī to dil ke muqaddar sañvar hī jā.eñge
yahī rahegā jo andāza-e-nā-shanāsā.ī
tumhāre chāhne vaale to mar hī jā.eñge
abhī chhiḌī bhī na thī dāstān-e-ahd-e-vafā
kise ḳhabar thī ki vo yuuñ mukar hī jā.eñge
jamāl-e-yār kī nādīda ḳhalvatoñ meñ 'zahīr'
agar ga.e to ye āshufta-sar hī jā.eñge
Top Urdushayar.com