dekh kar log hue shashdar-o-hairān mujhe
tū kahāñ hai shab-e-ġham aan ke pahchān mujhe
qais-o-farhād har ik gaam pe aate haiñ nazar
jaane kis dasht meñ laayā mirā vijdān mujhe
vaqt kā hai ye taqāzā ki maiñ ab chup na rahūñ
aap kyuuñ dekh ke hone lage hairān mujhe
ab to har phuul bhī kāñTe se sivā lagtā hai
gulshan-e-zīst nazar aatā hai vīrān mujhe
aap ke jaane se mahsūs kiyā hai dil ne
zindagī chhoḌ ga.ī be-sar-o-sāmān mujhe
mushkileñ merī tabī.at ko haiñ marġhūb bahut
zindagī chāhiye hargiz nahīñ āsān mujhe