baḌh gayā gar mirā isrār to phir kyā hogā
kar diyā aap ne inkār to phir kyā hogā
paḌ gayā sard ye bāzār to phir kyā hogā
na rahā maiñ bhī ḳharīdār to phir kyā hogā
log kahte haiñ ki maiñ tark-e-ta.alluq kar luuñ
na gayā tab bhī ye āzār to phir kyā hogā
maiñ jo bil-farz sar-e-tūr chalā bhī aa.uuñ
na huā aap kā dīdār to phir kyā hogā
ishq kī raah pe tum chal to diye ho 'anjum'
na huā rāsta hamvār to phir kyā hogā