apne jazboñ kī thakan yuuñ bhī utārī ham ne
zindagī dasht-navardī meñ guzārī ham ne
kam na kī shahr pe sūraj ne tamāzat apnī
sardiyāñ ḳhud hī fazāoñ pe kiiñ taarī ham ne
zaḳhm jis haath pe thā kaaT diyā hai us ko
bas dikhā.ī hai yahī kār-guzārī ham ne
jin kī tā.īd pe chamke the anā ke jauhar
phir sar-e-dār na dekhe vo havārī ham ne
tujh ko ma.alūm nahīñ tiir chalāne vaale
said hote hue dekhe haiñ shikārī ham ne