ashk āñkhoñ se dam-e-zabt ravāñ hotā hai
jab koī dard haqīqat kī zabāñ hotā hai
ḳhuun ristā hai to aatī hai gul-e-surḳh kī yaad
zaḳhm dekheñ to bahāroñ kā gumāñ hotā hai
ham ne aslāf ke kirdār kiye haiñ zinda
varna tārīḳh ko ehsās kahāñ hotā hai
har qadam ġham kī salīboñ se guzarnā hogā
marhala dard kā āsān kahāñ hotā hai
ishq ehsās-o-kam-o-besh kā pāband nahīñ
jab havas ho to ġham-e-sūd-o-ziyāñ hotā hai
arsa-e-dahr meñ insāñ kī haqīqat ma.alūm
ek tinkā jo sar-e-āb-e-ravāñ hotā hai
sabza pāmāl gul afsurda chaman pazhmurda
kyuuñ ba-īñ-shakl bahāroñ kā gumāñ hotā hai
manzar-e-dard ne ehsās na rakkhā baaqī
dekh lete haiñ magar hosh kahāñ hotā hai
aap kī zarra-navāzī hai jo is qābil huuñ
varna shā.ir meñ koī vasf kahāñ hotā
ġham jo baḳhshā hai mujhe tū ne ġhazal kī sūrat
ḳhuun pī pī ke shab-o-roz javāñ hotā hai
fasl-e-gul meñ dil-e-vahshī kā chalan mat pūchho
aise mausam meñ to ye āfat-e-jāñ hotā hai
kaun 'anjum' ke muqābil hai sar-e-bazm-e-suḳhan
munfarid aap kā andāz-e-bayāñ hotā hai