kuchh nahīñ duniyā badal jaane kī ġham-ḳhvānī mujhe
haañ magar ḳhud ke taġhayyur pe hai hairānī mujhe
dasht se lauTā to maiñ huuñ ik bagūle kā ḳhamīr
dekhtī hai kis nazar se ghar kī vīrānī mujhe
ik zamāne se sū-e-bāzār meñ niklā nahīñ
dars detī hai bahut yūsuf kī arzānī mujhe
sun liye bikhre hue ġham maiñ ne rātoñ ke tamām
haa.e ai duniyā abhī tak tū nahīñ pahchānī mujhe
ahl-e-'anjum' ek din vo bhī zamāna aa.egā
raas aa.egī zamīn-e-fan kī sultānī mujhe