roz-e-raushan ko shab-e-tār na kahnā aayā
raat ko matla-e-anvār na kahnā aayā
kī hai duniyā ne isī par to adāvat ham se
saaf jumla pas-e-dīvār na kahnā aayā
apne is jurm pe iz.hār-e-nadāmat kaisā
dasht-e-pur-ḳhār ko gulzār na kahnā aayā
bāl-o-par kaaT diye ahl-e-gulistāñ ne mire
chob ko shāḳh-e-samar-dār na kahnā aayā
qasr-e-taḳhrīb kī ta.amīr hai jin ke hāthoñ
haañ unheñ vaqt ke me.amār na kahnā aayā