Sayed Anjum Jafri

zindagi chhoD gai be-sar-o-saman mujhe

Sayed Anjum Jafri

Narnaul, Haryana, India

1936-2014
zindagī chhoḌ ga.ī be-sar-o-sāmān mujhe
umr-bhar yaad rahā aap kā ehsān mujhe
be-hikāyat mire ehsās kī tasvīr magar
har zamāne kā banā.e koī unvān mujhe
qat.a kar de jo zamāne se ta.alluq merā
baḳhsh de is ġham-e-hastī kā tū irfān mujhe
log dekheñge tujhe shahr meñ charchā hogā
ġhaur se dekh mirī samt na pahchān mujhe
dard kī lahar uThī maiñ ne sambhālā dil ko
kar diyā hai mirī nazroñ ne pashemān mujhe
na koī naqsh-e-qadam hai na koī gard-e-safar
duur tak raah nazar aa.ī hai sunsān mujhe
dil ne phir un se na milne kī qasam khaa.ī hai
dekh leñ vo na kisī vaqt pareshān mujhe
maiñ ne joḌā ġham-e-jānāñ se ta.alluq 'anjum'
jab dikhā.ī na diyā aish kā imkān mujhe
Top Urdushayar.com