tū ne jo harakat dil-e-nādān kī
ham ne us par zindagī qurbān kī
dil pe kahtā hai tamannā chhoḌ de
āqilāna baat hai nādān kī
kaun sā ġham hai jo dil meñ ḳhush nahīñ
kī tavāzo.a us ne har mehmān kī
ḳhud-ba-ḳhud ābād ho jā.egā ban
aap ne bastī agar vīrān kī
koī sāhil jazb kar saktā nahīñ
zindagī ik lahr hai tūfān kī
muskurā kar baat kī sad shukriya
zindagī dushvār thī āsān kī