maiñ huuñ vahshat meñ gum maiñ terī duniyā meñ nahīñ rahtā
bagūlā raqs meñ rahtā hai sahrā meñ nahīñ rahtā
baḌī muddat se terā husn dal bin kar dhaḌaktā hai
baḌī muddat se dil terī tamannā meñ nahīñ rahtā
ye paanī hai magar mizhgāñ kī shāḳhoñ par sulagtā hai
ye motī hai magar dāmān-e-dariyā meñ nahīñ rahtā
vo jalva jo sukūt-e-bazm-e-yaktā.ī meñ rahtā hai
vo jalva shorish-e-pinhāñ-o-paidā meñ nahīñ rahtā
na koī mauj-e-ra.anā.ī na koī sail-e-zebā.ī
koī tūfāñ bhī ab chashm-e-tamāshā meñ nahīñ rahtā
ajab kyā lā-makāñ ko ik nayā zindāñ samajh baiThe
ye dīvāna had-e-imroz-o-fardā meñ nahīñ rahtā
'zahīr' ik rishta-e-vahshat liye phirtā hai majnūñ ko
vagarna koī apne aap sahrā meñ nahīñ rahtā