tirī yādoñ ne tanhā kar diyā hai
mujhe andar se sahrā kar diyā hai
ḳhafā ho kar shuā-e-mahr ne bhī
mire āñgan ko suunā kar diyā hai
siyāhī kis kī nazroñ meñ bharī hai
diloñ ko kis ne kaalā kar diyā hai
ye kis ne ā.īnoñ par gard pheñkī
har ik manzar ko dhundlā kar diyā hai
kisī bhī shāḳh par pattā nahīñ hai
havā ne sab ko nañgā kar diyā hai
'zamān' ab raushnī kā zikr kaisā
mujhe sūraj ne andhā kar diyā hai