Zaman Kanjahi

nazar mein kaisa manzar bas gaya hai

Zaman Kanjahi

nazar meñ kaisā manzar bas gayā hai
bayābāñ meñ samundar bas gayā hai
chamak dīvār-o-dar kī kah rahī hai
koī is ghar ke andar bas gayā hai
Thikāna mil gayā hai us ko āḳhir
vo mere dil meñ aa kar bas gayā hai
mahak uTThā tasavvur kā jahāñ bhī
koī ḳhushbū kā paikar bas gayā hai
jo tanhā.ī ke sahrā kā makīñ thā
'zamāñ' aaj us kā bhī ghar bas gayā hai
Top Urdushayar.com