shab-e-mahtāb bhī apnī bharī-barsāt bhī apnī
tumhāre dam-qadam se zindagī thī zindagī apnī
yahāñ pābandī, nārāzī, junūnī baat hai varna
jamāl-e-yār se kuchh kam nahīñ tābindagī apnī
mujhe shādābī-e-sahne-e-chaman se ḳhauf aatā hai
yahī andāz the jab luuT ga.ī thī zindagī apnī
tumhārā ġham ise āshob-e-sarasar bachā.e gā
havāoñ se bhaḌak uTThī hai sham-e-zindagī apnī
magar tum bhī to ik bū-e-gurezāñ kī tarah nikle
guzarne ko guzar jaatī bahār-e-dostī apnī
zahīr is chashm-e-avval pe yūñhī mahsūs hotā hai
baḌī muddat se hai jaise kisī se dostī apnī