phuul se merī yahī ġham-ḳhvāriyāñ
ik gulistāñ meñ hazāroñ kyāriyāñ
baañT kar ham ko ka.ī TukḌe kiye
hai hukūmat kī sabhī tayyāriyāñ
shabnamī qatre nigāhoñ meñ dikhe
ban ga.e haiñ dhuup meñ chiñgāriyāñ
ye siyāsī log to ishrat meñ haiñ
aap ko mujh ko raheñ dushvāriyāñ
dekhnā ab bech na de mulk ko
kauḌiyoñ meñ bech dī ḳhuddāriyāñ
aap maz.hab ko davā kahte rahe
ho ga.ī haiñ ḳhud use bīmāriyāñ
ham nahīñ bole agar tū kaun phir
niiñd toḌegā ki hoñ bedāriyāñ
sab bure haiñ ik bure ko chun liyā
har chunāvoñ meñ yahī lāchāriyāñ