ye jab se raat buzdil ho ga.ī hai
diye kī jañg mushkil ho ga.ī hai
charāġhoñ ko zarā sā hausla do
havā kuchh aur qātil ho ga.ī hai
mujhe yuuñ chhoḌ kar jaatī kahāñ par
udāsī ḳhuuñ meñ shāmil ho ga.ī hai
kahāñ mumkin hai us ko DhūñDhnā ab
nadī sahrā meñ dāḳhil ho ga.ī hai
use lazzat nahīñ ma.alūm ġham kī
use har chiiz hāsil ho ga.ī hai
tamannā naañv ban kar bah rahī hai
mohabbat ek sāhil ho ga.ī hai
dikhā.e haiñ tamāshe zindagī ne
magar jiine ke qābil ho ga.ī hai