Zaheer Kashmiri

mausam badla rut gadrai ahl-e-junun bebak hue

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
mausam badlā rut gadrā.ī ahl-e-junūñ bebāk hue
fasl-e-bahār ke aate aate kitne girebāñ chaak hue
gul-būToñ ke rañg aur naqshe ab to yūñhī miT jā.eñge
ham ki faroġh-e-sub.h-e-chaman the pāband-e-fitrāk hue
mohr-e-taġhayyur is dhaj se āfāq ke māthe par chamkā
sadiyoñ ke uftāda zarre ham-dosh-e-aflāk hue
dil ke ġham ne dard-e-jahāñ se mil ke baḌā bechain kiyā
pahle palkeñ pur-nam thiiñ ab aariz bhī namnāk hue
kitne alhaḌ sapne the jo duur sahar meñ TuuT ga.e
kitne hañsmukh chehre fasl-e-bahārāñ meñ ġhamnāk hue
barq-e-zamāna duur thī lekin mish.al-e-ḳhāna duur na thī
ham to 'zahīr' apne hī ghar kī aag meñ jal kar ḳhaak hue
Top Urdushayar.com