Bekhud Badayuni

un ko dimagh-e-pursish-e-ahl-e-mehan kahan

Bekhud Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1857-1912
un ko dimāġh-e-pursish-e-ahl-e-mehan kahāñ
ye bhī sahī to ham ko majāl-e-suḳhan kahāñ
ik buuñd hai lahū kī magar be-qarār hai
dil ko chhupā.e zulf-e-shikan-dar-shikan kahāñ
tamkīn-e-ḳhāmushī ne unheñ but banā diyā
sab is gumān meñ haiñ ki un ke dahan kahāñ
vo shām-e-va.ada mahv haiñ ārā.ishoñ meñ aur
pahuñchā hai le ke mujh ko mirā sū-e-zan kahāñ
'beḳhud' na kyuuñ hoñ dūrī-e-ustād hai malūl
socho to mārvāḌ kahāñ hai dakan kahāñ
Top Urdushayar.com