shikva sun kar jo mizāj-e-but-e-bad-ḳhū badlā
ham ne bhī saath hī taqrīr kā pahlū badlā
kahiye to kis ke phañsāne kī ye tadbīreñ haiñ
aaj kyuuñ chīñ-ba-jabīñ se ḳham-e-gesū badlā
ik tirā rabt ki do din kabhī yaksāñ na rahā
ik mirā haal ki hargiz na sar-e-mū badlā
un hasīnoñ hī ko zebā hai talavvun ai dil
haañ ḳhabar-dār jo bhūle se kabhī tū badlā
dil-e-muztar kī taḌap se jo maiñ taḌpā 'beḳhud'
chāra-gar ḳhush haiñ ki bīmār ne pahlū badlā