kabhī hayā unheñ aa.ī kabhī ġhurūr aayā
hamāre kaam meñ sau sau tarah futūr aayā
hazār shukr vo āshiq to jānte haiñ mujhe
jo kahte haiñ ki tirā dil kahīñ zarūr aayā
jo bā-havās thā dekhā usī ne jalva-e-yār
jise surūr na aayā use surūr aayā
ḳhudā vo din bhī dikhā.e ki maiñ kahūñ 'beḳhud'
janāb-e-'dāġh' se milne maiñ rām-pūr aayā