is bazm meñ na hosh rahegā zarā mujhe
ai shauq-e-harza-tāz kahāñ le chalā mujhe
ye dard-e-dil hī ziist kā baa.is hai chāra-gar
mar jā.ūñgā jo aa.ī muāfiq davā mujhe
is zauq-e-ibtilā kā maza us ke dam se hai
sab kuchh milā milā ho dil-e-mubtalā mujhe
dair-o-haram ko dekh liyā ḳhaak bhī nahīñ
bas ai talāsh-e-yār na dar dar phirā mujhe
ye dil se duur ho na dikhā.e ḳhudā vo din
zālim tirā ḳhayāl hai dil se sivā mujhe
rañj-o-malāl o hasrat-o-armān-o-ārzū
jaane se ek dil ke bahut kuchh milā mujhe
maiñ jāntā huuñ aap haiñ mast apne haal meñ
'beḳhud' nahīñ hai aap se mutlaq gilā mujhe