naale meñ kabhī asar na aayā
is naḳhl meñ kuchh samar na aayā
allāh-rī merī be-qarārī
chain un ko bhī raat bhar na aayā
kahtā huuñ ki aa hī jā.egā sabr
ye fikr bhī hai agar na aayā
ġhaflat ke paḌe hue the parde
vo paas rahā nazar na aayā
āñkhoñ se huā jo koī ojhal
'beḳhud' mujhe kuchh nazar na aayā